Khuda Se Dua Maangi


Humne khuda se dua maangi,
dua mein apni maut maangi,
khuda ne kaha:use kya doon
jisne dua mein teri lambi umar maangi
-------------------------------------------------------------------------

kuch khwab khwab reh jaate hai
kuch sapne adhure reh jaate hai
chahat ka wada wafa ki kasmein
kagaz pe chand tehrerein reh jaati hai
tujhse milna tujhe paane ki aarzoo
kuch khwahishein hasratein reh jaati hai
tere saath bita waqt tere sang guzre lamhe
maazi k faqt yaadein reh jaati hai
-------------------------------------------------------------------------

Suraj se kaho chamakana chod de,
sitaro se kaho timtimana chode do,
Tum milne nahi aasakte ho to,
apni yado se kaho ki yun satana chod de.
-------------------------------------------------------------------------

Pane se khone ka maza aur hai,
Band ankho se dekne ka maza aur hai,
asu bane lafz aur lafz gazal,
teri yadon ke sath
JINE KA MAZA KUCH aur hai.

0 comments:

Post a Comment

LIVE CHAT