Na karta shikayat zamane se koi,
agar maan jata manane se koi.
Kisi ko koi kyon yaad karta,
agar bhool jata bhulane se koi..
-------------------------------------------------------------------------
Jis din tum se dil laga baithe,
tanhai me gamo ki mehfil laga baithe,
tum to kho gaye is duniya ki bheed me,
or hum apni hi duniya me aag laga baithe.
-------------------------------------------------------------------------
Le kar hum dusro ki hasi kya kare,
jo apni nahi woh kushi kya kare,
tanha jine se behtar hai mar jai hum,
jab saath aapka nahi to zindagi jeekar kya kare.
-------------------------------------------------------------------------
Jo hadse na guzaar jaye wo pyar hi kya,
jo pyar karne pe majbur na kar de wo ikrar hi kya,
intezar to sab karte hai,
saanse tutne tak jo sath na de wo yaar hi kya!
0 comments:
Post a Comment