Dard e aarzoo

Jabh jindagi sajati hei toe, dulhan si lagati hei,
Jabh yeh rang badalti hei toe,ek bewa si lagati hei,
Yeh be-raham toe kisi se bhi, vafa nahi karti hei,
Phir bhi sabhko yeah, mehbooba si lagti hei...



Sheeshe ke dil mei thi tasveer teri bassi,
sheesha toh tod diya, parr tasveer na chura saki..
Mila kya tujhe mere iss dil se khelkar,
jaan hi chahiye thi toh maang kar dekhi hoti...



Jabh aankh mein nami si hoti hei,
Dil mein kisiki kami si hoti hei,
Jabh aankh jukh jaaye toe nami sukh jaaye,
Par koi bataaye kaise dil ka dukh jaaye...!*



Be-Aetebaar waqt pe Jhunjla ke ro parey
Kho ke kabhi ussey tou kabhi Paa ke ro parey
Kab tak kissi ke soug mein rouein gey umer bhur
Hum khud ko kitni baar yeh samjha ke ro parey

0 comments:

Post a Comment

LIVE CHAT