Kisi toote dil se uski Mohabbat ki dastaan na poochna,
gar pooccha to phir wo bikhar jayega,gar bikhar wo gaya to
ek sailaab aayega,us sailaab mein yeh saara anjuman beh jayega,
jisme tum to dooboge ,yeh dil bhi doob jayega...
Koshish karta hoon jab sher banane ki kabhi,
to kambhaqt ishq yaad aa jaata hai.
Aur jab koshish karta hoon ishq yaad karne ki kabhi
to na jaane kaise Sher ban jaata hai....
Tanhai me fariyad to kar sakte hain,
virane ko abad to ker sakte hain,
kya hua ki is samay aap se mil nahi sakte,
lekin aap ko yaad to ker sakte hain.
khwabo me shochata hoon tujh,
sapano me dekhata hoon tujhe,
dil me teri hi to tashveer hai,
teri hi chahat hai,
teri hi tamanna hai ,
tu hi to meri takdeer hai.
0 comments:
Post a Comment