Dilse

Jab se hua hai woh khwab ki tarah,
Zindagi guzar rahi hai azaab ki tarah,
Khushbu ke kalam se shayad sikha tha usne Khat,
Har lafz mahak raha hai gulab ki tarah.

-------------------------------------------------------------------------
Chaho to dil se hamko mitta dena,
Chaho to humko bhula dena,
Par yeh wada karo ki aaye jo kabhi yaad hamari
To rona nahi bus muskura dena...
-------------------------------------------------------------------------
Dil-o-jaan se chahta tha usse, izhaar karna na aaya,
kat gayi umr lekin humme mohabbat jatana na aaya,
Usne mangi bhi agar kuchh to mangi judaai,
Aur ek hum the ki inkaar karna na aaya. 

-------------------------------------------------------------------------
Kya zamaana tha ke hum roz mila karte thay,
Raat bhar chaand ke humraaz phira karte thay,
Dekh kar jo hume chup chaap guzar jaate hai,
Kabhi isi shaks se hum pyar kiya karte thay. 

0 comments:

Post a Comment

LIVE CHAT