Khuda jab husn deta hai,
To nazaaqat aa hi jaati hai,
Kitna bhi sambhalke rakho paer,
Kamar balkhaa hi jaati hai!
-------------------------------------------------------------------------
Roz Taron kee numaa-ish mein khalal padta hai,
Chand paagal hai andherey mein nikal padta hai,
Unkee yaad aayee hai saanso zara ahista chalo,
Dhadkano se bhi Ibaadat mein khalal padta hai.
-------------------------------------------------------------------------
Jis shaam mere lab per tera naam na aaye,
Khuda kare aisi shaam na aaye....
Aai jaane wafa, ye kabhi mumkin hi nahin,
Afsaana likhnu aur tera naam na aaye.
-------------------------------------------------------------------------
Sapney dekhta hain raat ko aashiqui ke,
Aur darta hain ki jaldi subah na ho,
Mashooq dhoondta hain khoobsurat koi,
Par darta hain ki voh bewafa na ho.
0 comments:
Post a Comment